mere khulus ki shiddat se koi dar bhi gaya wo pas aa to raha tha magar thahar bhi gaya ye dekhna tha bachane bhi koi aata hai agar main dub raha tha to khud ubhar bhi gaya ai raste ke darkhto samet lo saya tumhaare jal se bach kar koi guzar bhi gaya kisi tarah se tumhaari jabin chamak to gai ye aur baat siyahi mein hath bhar bhi gaya usi pahad ne phunke the kya kai jangal jo khak ho ke mere hath par bikhar bhi gaya yahin kahin mere honton ke pas phirta hai wo ek lafz ki jo zehn se utar bhi gaya wo shakh jhul gai jis pe panw qaem the 'shakeb' warna mera hath ta-samar bhi gaya