miti hasti hamari bad-gumani mein mare the pyas se dariya ke pani mein kahani khud-kushi pe ho gai majbur koi kirdar tha aisa kahani mein hai mumkin dad dete aap ro bhi de fana shair hua matlea ke sani mein mera arman jo tuta to laga jaise kisi ka beta dam tode jawani mein 'shafaq' ke sher padhna jo mile fursat milega falsafa tum ko maani mein