mitti ka jism aur saf-e-mo'atabar mein hai kitna bada kamal kaf-e-kuza-gar mein hai aisi hawas chhipi hui qalb-e-bashar mein hai ghar mein hain aur wusat-e-duniya nazar mein hai shauq-e-sukhan-wari ko mitata main kis tarah ye to rachi-basi mere qalb-o-jigar mein hai mil jae be-qarar ko lutf-e-sukun-e-dil aisi to bas misal khuda hi ke ghar mein hai tum ko tumhaari manzil-e-maqsud mil gai apna to karwan abhi gard-e-safar mein hai pahnun main kaise atlas-o-kamkhwab ke libas suraj ghurub hone ka manzar nazar mein hai chhu lega 'shad' tu bhi kisi roz aasman wo azm aur wo josh tere baal-o-par mein hai