sari duniya ki nigahon mein tamasha ho gaya

sari duniya ki nigahon mein tamasha ho gaya
ishq tum se kya hua hai main to ruswa ho gaya

sae mein khushiyon ke kitne log mere sath the
dhup gham ki phailte hi main akela ho gaya

ab kisi se khair-khwahi ki nahin rakhna ummid
aadmi waisa nahin tha aaj jaisa ho gaya

raaz jitne the sabhi sine mein mere dafn the
doston mein kis tarah phir is ka charcha ho gaya

sochiye is par bhi jo fursat mile to baith kar
kya hua viran kyun gulshan hamara ho gaya

ho gaya maghrur apni lau pe ghar ka har charagh
raushni ke phail jaane se andhera ho gaya

nama-e-amal mera 'shad' raushan kar gaya
ek hi qatra nadamat ka sitara ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close