mitti ke alawa hain kahan hum se kahin aur aflak-nashin aur hain hum khak-nashin aur ye kis ki sarae hai shab-o-roz jahan se ek jae musafir to ek aa jae makin aur tujh husn-e-mukammal mein qayamat ki kashish hai yusuf to hazaron hain magar tujh sa nahin aur main jaan ki bazi bhi laga dun ai zamane gar dhund ke la de to mohammad sa amin aur 'rajas' ki tabiat pe ajab tera asar hai rahta hun kahin aur main hota hun kahin aur