ajib khwab tha hum bagh mein khade hue the hamare samne phulon ke sar pade hue the barahna titliyan raqsan thin uryan shakhon par zamin mein sare shajar sharm se gade hue the tamam pat the nile buzurg bargad ke usi ko dasne se sanpon ke phan bade hue the zaif ped the budhi hawa se sharminda jawan parinde kisi baat par ade hue the na koi naghma-e-bulbul na koi naghma-e-gul khuda-e-subh se sab khush-gulu lade hue the wahin pe samne 'wasif' tha ek qabristan jahan yahan wahan sab namwar sade hue the phir ek qabr hui shaq to us mein the do dil aur un dilon mein mohabbat ke nag jade hue the