miyan wo jaan katrane lagi hai tamanna mujh ko samjhane lagi hai sharafat is qadar ruswa hui hai amal par apne sharmane lagi hai jawani ki miyan dahliz par hai ghazal ab meri itrane lagi hai khudara chhod dije shokh hasrat jo bu kafur ki aane lagi hai sidhaara hai use do-chaar das ne tumhaari ye ghazal pane lagi hai tera didar ho hasrat bahut hai chalo ki nind bhi aane lagi hai kharidi ja rahi hai sabziyon si ghazal bazar mein aane lagi hai