mizaj-e-husn mein kuchh barhami malum hoti hai hijab-e-nur mein bijli chhupi malum hoti hai yaqinan phir koi taza qayamat aane wali hai mere dard-e-mohabbat mein kami malum hoti hai gham-o-andoh-o-hasrat yas-o-hirman dard-o-betabi tadap jata hun jab in mein kami malum hoti hai teri rahmat pe mujh ko naz hai aur naz bhi kaisa gunahon mein bhi ek taqdis si malum hoti hai gulon ka rang phika hai fazaen bhi hain afsurda gulistan mein kisi shai ki kami malum hoti hai kabhi tum ne mujhe dekha tha apni garm nazron se abhi tak aag si dil mein lagi malum hoti hai