jalta raha hun dil ko jalata raha hun main daman-e-husn dost bachata raha hun main har chand zakhm dil hi pe khata raha hun main un se magar nigah milata raha hun main wada ki sham aap to aae nahin magar dil ko bajae shama jalata raha hun main kaif-e-tamam-e-ishq ka aalam na puchhiye khud un ko bhi sharab pilata raha hun main tera khayal tera tasawwur liye hue zarron ko aaftab banata raha hun main 'makhmur' meri be-khudi-e-shauq dekhna parda uthe hue bhi giraata raha hun main