mizaj-e-mustaqil dena shuur-e-moatabar dena jhuka pae na jis ko waqt ka tufan wo sar dena mujhe umr-e-khizar dena ki umr-e-mukhtasar dena mere afkar lekin zinda-e-jawed kar dena jo utthe samt-e-mazi wo nazar mera nahin hasil pas-e-diwar-e-mustaqbil jo dekhe wo nazar dena mujahid jang ke maidan ko jae jis tarah ghar se ye manzar zehn mein rakh kar mujhe izn-e-safar dena agar is razm-gah-e-dahr mein jina hi hai mujh ko to phir in yurishon mein zinda rahne ka hunar dena siwa ho jae jis se azmat-e-dida-wari 'gauhar' nazar dena to yarab phir mujhe aisi nazar dena