mohabbat mein nigah-e-sharmagin jine nahin deti falak badnam hai lekin zamin jine nahin deti hayat-o-maut ki ye kashmakash bhi ek tamasha hai ki han marne nahin deti nahin jine nahin deti wo kahte hain mere naqsh-e-qadam ki kya khata us mein jo tujh ko teri aawara jabin jine nahin deti rahun gulshan mein ya sahra mein diwana hi kahti hai ye duniya kaisi duniya hai kahin jine nahin deti junun kahta hai koi tar bhi baqi na rah jae khirad ko fikr-e-jeb-o-astin jine nahin deti mubarak nala-e-mazlum wo zalim pukar uttha are ab teri aah-e-atishin jine nahin deti amal ki quwwaten hain tabe-e-hosh-o-khirad 'nazish' mujhe meri nigah-e-dur-bin mein jine nahin deti