mizaj le ke bil-akhir juda kidhar jae charagh-e-dost bane hain hawa kidhar jae dilon se rabt hai koi na dard se rishta koi batae bhala ab dua kidhar jae har ek nigah mein ek khauf bhi hai khwahish bhi kise pata wo sitara-ada kidhar jae fasil band hain sab bu-e-gul ke shaidai chaman se nikle to baad-e-saba kidhar jae har ek samt andhera hai dekhiye kya ho nikal ke ghar se wo raushan qaba kidhar jae