ye nili aanch ya nilam-pari hai hawa ki tan par jo jhumti hai mera kamra misal-e-dasht-e-wahshat jahan ram-khurda hirni kho gai hai uda phirta hai panchhi canwas par musawwir ki ajab surat-gari hai talab mein qatra-e-naisan ki be-dam sar-e-sahil koi sipi padi hai wahan tha aaj gul khulne ka imkan jahan kal raat hi bijli giri hai jahan par dhup din likh kar gai thi wahan ab raat ne kalak mali hai guzara is pe bhi kar to rahe hain magar tu hi bata ye zindagi hai hai is mein tul-e-sham-e-gham ka qissa jo ye baalisht bhar ki diary hai mayassar hai sukhan-danon ki sohbat tabhi achchhi ghazal-kari hui hai