mizan-e-fan pe rakh kar sanche mein Dhaalte hain

mizan-e-fan pe rakh kar sanche mein dhaalte hain
chashm-e-ghazal se shair kajal nikalte hain

daman pe dagh un ke hum ne unhin ke dekhe
kichad jo dusron par aksar uchhaalte hain

apnon ne to giraya har bar har dagar par
ehsan hai dushmanon ka hum ko sambhaalte hain

bimar khwahishon ki takmil ke liye hi
insan uljhanon mein kyon khud ko dalte hain

sanjida ho ke kab wo baaten meri sunenge
kya kah rahe ho kah kar aksar jo talte hain

'ghaalib' sa 'mir' jaisa andaz kab milega
alfaz ke samundar hum bhi khangalte hain

shishe ke ghar hain jin ke aksar yahan wo 'sani'
patthar hamari jaanib phir kyon uchhaalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close