mizha pe ashk-e-alam jhilmilae aaKHir-e-shab

mizha pe ashk-e-alam jhilmilae aakhir-e-shab
bichhadne wale bahut yaad aae aakhir-e-shab

wo jin ke qurb se dhaaras thi mere dil ko bahut
koi kahin se unhen dhund lae aakhir-e-shab

ye shor-e-baad-e-zamistan ye rasta sunsan
dara rahe hai darakhton ke sae aakhir-e-shab

hawa mein dard ki shiddat se zamzama-paira
sunega kaun ye meri sada-e-akhir-e-shab

rawana hone ko hai karwan sitaron ka
phir us ke baad kahan naqsh-e-pa-e-akhir-e-shab

kidhar chali hai nigar-e-falak kise malum
ye tasht-e-mah-o-sitara uthae aakhir-e-shab

wo teri yaad ke mehman ho gae rukhsat
ujad gai mere dil ki sarae aakhir-e-shab

phir us ke baad wahi dhup hai mashaqqat ki
zara si der ko hai khwabnae aakhir-e-shab

nasib ho saf-e-aindagan ko taza sahar
mere labon pe yahi hai dua-e-akhir-e-shab

wo so gae hain jinhen jagne ki aadat thi
kise pukar rahi hai hawa-e-akhir-e-shab

'farasat' ab hui mahfil tamam ghar ko chalo
sarak rahi hai falak par rida-e-akhir-e-shab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close