mizhgan ne roka aankhon mein dam intizar se uljhe hain khar daman-e-baad-e-bahaar se matlab khizan se hai na gharaz hai bahaar se hum dil utha chuke chaman-e-rozgar se ye gul khila na lala-rukhon ke firaq mein hum dagh le chale chaman-e-rozgar se bismil jo hain to hum hain tadapte jo hain to hum wo khush hain said-gah mein sair-e-shikar se aaghaz-e-ishq hai wo badhate hain rasm-o-rah hum dil mein khauf karte hain anjam-e-kar se un ko hua jo nashsha-e-mai meri ban padi parda khula na daman-e-mauj-e-khumar se kalkatta se bhi kijiye hasil koi to ilm sikhenge sehr-e-samri hum chashm-e-yar se ai 'mehr' ye ghazal wo pur-ejaz-o-garm hai 'atish' agar sune nikal aae mazar se