but yahan milte nahin hain ya khuda milta nahin azm mustahkam to ho duniya mein kya milta nahin ham-safiran-e-junun yun hum se aage badh gae qafila kya hai ghubar-e-qafila milta nahin apni surat dekhna ho apne dil mein dekhiye dil sa duniya mein koi bhi aaina milta nahin de diya hai aap ko dil ab hifazat kijiye har khazane mein ye lal-e-be-baha milta nahin dhundhta phirta hai mujh ko kyun fareb-e-rang-o-bu main wahan hun khud jahan apna pata milta nahin