mohabbat bais-e-diwangi hai aur bas main hun ki ab paiham inayat aap ki hai aur bas main hun sukun hasil hai din mein aur na shab ko chain milta hai ki ab to kashmakash mein zindagi hai aur bas main hun na jaane majra kya hai nazar kuchh bhi nahin aata ki ab hadd-e-nazar tak tirgi hai aur bas main hun nahin hai aaj mujh ko khadsha-e-zulmat zamane mein rukh-e-taban ki un ke raushni hai aur bas main hun qadam kya dagmagaenge rah-e-ulfat mein ai saqi bahut hi mukhtasar si be-khudi hai aur bas main hun tere naqsh-e-qadam par sar jhukana kaam hai apna khuda shahid ye meri bandagi hai aur bas main hun unhen rudad-e-gham apni sunaun kis tarah 'qaisar' wahi un ki ada-e-barhami hai aur bas main hun