husn phir fitnagar hai kya kahiye dil ki jaanib nazar hai kya kahiye phir wahi rahguzar hai kya kahiye zindagi rah par hai kya kahiye husn khud parda-war hai kya kahiye ye hamari nazar hai kya kahiye aah to be-asar thi barson se naghma bhi be-asar hai kya kahiye husn hai ab na husn ke jalwe ab nazar hi nazar hai kya kahiye aaj bhi hai 'majaz' khak-nashin aur nazar arsh par hai kya kahiye