mohabbat bantne nikle the patthar le ke ghar laute bahut se dasht chhane aur ho ke dar-ba-dar laute hamari soch se dil tak badi lambi masafat hai chalo ab dekhte hain ki kahan se ye nazar laute jahan mein masnaden ab be-hunar aabaad karte hain jabhi to le ke aankhen nam sabhi ahl-e-hunar laute liye hum kanch ka dil bar-sar-e-bazar baithe hain the patthar jinki jholi khush wahi to bazigar laute wo jhute log jo mil kar hamin ko jhut kar denge unhin ko aazma kar hum bhi apni rahguzar laute qarar-e-jaan banane ko bahane aur kya kam the bhala 'mumtaz' le ke kaun yun zakhmi jigar laute