mohabbat chahte ho kyun wafa kyun mangte ho tum un bimar aankhon se dawa kyun mangte ho musafir ho to niklo panw mein aankhen laga kar kisi bhi ham-safar se rasta kyun mangte ho unhen to khud hi apni jaan ke lale pade hain bechaare shahr walon se hawa kyun mangte ho abhi kuchh tha abhi kuchh hai badan aab-e-rawan sa badan se aaj-kal ka waqia kyun mangte ho hudud-e-khak se bahar nahin aa paega husn wo jitna hai use us se siwa kyun mangte ho hujum-e-shahr mein se tir se nikle chale jao hujum-e-shahr se us ki raza kyun mangte ho mohabbat aap hi apna sila hai 'farhat-ehsas' mohabbat kar rahe ho to sila kyun mangte ho