sanam ke dekh kar lab aur dahan surkh hua hai khun-e-bulbul se chaman surkh shahid-e-lala-ruyan ko baja hai dafan ke waqt gar kije kafan surkh hua majnun ke haq mein dasht gulzar kiya hai ishq ke tesu ne ban surkh gulon ka rang ab zard ho gaya hai chaman mein dekh kar tera badan surkh kar 'hatim' yaad ahwal-e-shahidan shafaq se jab ki hota hai gagan surkh