mohabbat hai aziyyat hai hujum-e-yas-o-hasrat hai jawani aur itni dukh bhari kaisi qayamat hai wo mazi jo hai ek majmua ashkon aur aahon ka na jaane mujh ko is mazi se kyun itni mohabbat hai lab-e-dariya mujhe lahron se yunhi chahal karne do ki ab dil ko isi ek shughl-e-be-mani mein rahat hai tera afsana ai afsana-khwan rangin sahi mumkin mujhe rudad-e-ishrat sun ke ro dene ki aadat hai koi roe to main be-wajh khud bhi rone lagta hun ab 'akhtar' chahe tum kuchh bhi kaho ye meri fitrat hai