mohabbat karne walon ke bahaar-afroz sinon mein raha karti hai shadabi khizan ke bhi mahinon mein ziya-e-mehr aankhon mein hai tauba mah-jabinon ke ki fitrat ne bhara hai husn khud apna hasinon mein hawa-e-tund hai girdab hai pur-shor dhaara hai liye jate hain zauq-e-afiyat si shai safinon mein main hansta hun magar ai dost aksar hanste hue bhi chhupae hote hain dagh aur nasur apne sinon mein main un mein hun jo ho kar aastan-e-dost se mahrum liye phirte hain sajdon ki tadap apni jabinon mein meri ghazlen padhen sab ahl-e-dil aur mast ho jaen mai-e-jazbaat laya hun main lafzi aabginon mein