mohabbat hasil-e-duniya-o-din hai mohabbat ruh-e-arbab-e-yaqin hai nazar mein jhum uthti hain bahaaren kisi ki yaad bhi kitni hasin hai tasadduq ho rahe hain mah-o-anjum nigahon mein wahi zohra-jabin hai kahan mumkin hai us ko bhul jaana ki har ek naqsh us ka dil-nashin hai jahan chahun wahin mahfil saja lun meri har ek nazar husn-afrin hai wahi wo hain jidhar bhi dekhta hun bas ab un ke siwa koi nahin hai zamana ho gaya us ek nazar ko khalish si aaj tak dil ke qarin hai hua hun muddaton se khud-faramosh magar ye dil tujhe bhula nahin hai sahaara mil gaya jine ka 'muztar' mujhe un ki mohabbat ka yaqin hai