dilon mein dard bharta aankh mein gauhar banata hun

dilon mein dard bharta aankh mein gauhar banata hun
jinhen maen pahanti hain main wo zewar banata hun

ghanim-e-waqt ke hamle ka mujh ko khauf rahta hai
main kaghaz ke sipahi kat kar lashkar banata hun

purani kashtiyan hain mere mallahon ki qismat mein
main un ke baadban sita hun aur langar banata hun

ye dharti meri man hai is ki izzat mujh ko pyari hai
main is ke sar chhupane ke liye chadar banata hun

ye socha hai ki ab khana-badoshi kar ke dekhunga
koi aafat hi aati hai agar main ghar banata hun

harifan-e-fusun-gar mu-qalam hai mere hathon mein
yahi mera asa hai is se main azhdar banata hun

mere khwabon pe jab tira-shabi yalghaar karti hai
main kirnen gundhta hun chand se paikar banata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close