mohabbat hi agar tujhko na ras aai to kya hoga

mohabbat hi agar tujh ko na ras aai to kya hoga
tere gham mein tabiat meri ghabrai to kya hoga

tujhe pane ki khatir kis qadar bechain rahta hun
tujhe pa kar bhi gar taskin nahin pai to kya hoga

nahin pita na pi zahid magar ye to samajh leta
agar saqi ne mai aankhon se barsai to kya hoga

hum us ke dar pe jaane ki jo ruswai hai sah lenge
talash us ki jo dar pe ghair ke lai to kya hoga

kiye wade bhi tum ne aur di mujh ko tasalli bhi
na tum aae shab-e-furqat na nind aai to kya hoga

khizan ke daur mein dekhi bahut gulshan ki barbaadi
magar ab mausam-e-gul mein khizan aai to kya hoga

'habib' is ghar ko ghair aae jalane ko to kya gham hai
sulagti aag yaron ne jo bhadkai to kya hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close