mere hi dil se tu puchh kitni teri adaon mein zindagi hai tera sitam bhi karam hai mujh par teri jafaon mein zindagi hai jo tere jawon se hai farozan jo teri nikhat se jhumti hai jo tere naghmon se gunj utthe unhin fazaon mein zindagi hai inhin se rangin hai bazm-e-hasti inhin se nikhar hai husn-e-duniya jo chahen samjhen jahan wale meri khataon mein zindagi hai khushi mein sar dhunne walo sun lo ki kitna shirin hai naghma-e-gham jo tute dil se sadaen utthi unhin sadaon mein zindagi hai rachi hai sargoshiyan si jin mein hamare raaz-o-niyaz ki hi jo husn-o-ulfat se hi basi hai unhin hawaon mein zindagi hai ghurur kitna bhi tum ko apne ho zehn-o-bazu ki quwwaton par zara to be-kas dilon se puchho ki kya duaon mein zindagi hai teri hasin ka ho saz bajta ki aabshaaron ka ho tarannum ho raqs-e-gul ya nawa-e-bulbul inhin nawaon mein zindagi hai jo be-niyaz-e-zar-e-zamin hai jo dil ki daulat se hi ghani hai 'habib' in ko samajh na kamtar inhin adaon mein zindagi hai