mohabbat ho to barq-e-jism-o-jaan ho wo aatish kya ki sine mein nihan ho nahin hua aur phir kahne ko yahan ho harif-e-bad-guman ke hum guman ho tahayyur-e-fart shauq-e-did se hun wahin mujh ko bhi dekho tum jahan ho suni jati ho jab mahshar mein rudad to apni khatm kyunkar dastan ho wo mustaghni sahi par dil gaya hai jo phir ho to unhin par kuchh guman ho jo sach ho wada-e-didar un ka to baaton mein qayamat kyun ayan ho mujhe sar phodne mein uzr kya hai magar un ka hi hi sang-e-astan ho tumhein wo parda yahan hai parda-dari mere dil mein nahin to phir kahan ho ruka jata hai dam-e-sina mein kya kya gale par kash khanjar sa rawan ho chhupae hum se kya kya raaz apne agar koi hamara raaz-dan ho rahe kyun talkhi-e-farhad ka zikr agar shirin ki shirin dastan ho zulekha par na ho kyun nazish-e-ishq ki jab yusuf mata-e-karwan ho adu khush khush hai kuchh kah kar suna hai na manunga kabhi tum be-dahan ho mila hai baithe rahne ka sahaara jahan ho aur tumhaara aastan ho usi mein faisla samjha hun dil ka kahan tak dekhiye zabt-e-fughan ho yahan baithe ho par kuchh ukhde ukhde nazar milti nahin dil se kahan hun sarapa soz hai ulfat mein 'anwar' ajab kya hai agar aatish-zaban ho