kaun hai uske bankpan ki tarah

kaun hai us ke bankpan ki tarah
husn hai husn-e-anjuman ki tarah

main ne makhmur us ko dekha hai
raat jagi hui dulhan ki tarah

jage jage tere badan ke khutut
khil-khilate hue chaman ki tarah

ek mere chand ke na hone se
chandni raat hai kafan ki tarah

ishq shaista-e-junun nikla
tere mathe ki ek shikan ki tarah

koi tarikh-e-ishq dohra dun
zindagani hai kohkan ki tarah

koi ban-than ke ghar se nikla hai
zindagi ke hasin chalan ki tarah

pairahan aur aise unwan se
rang-o-gulha-e-pairahan ki tarah

kaisi viraniyan mein 'daur' yahan
zindagi hai ujad ban ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close