mohabbat ibtida mein hai jafaen na-munasib hain tumhaare ruthne ki ye adaen na-munasib hain ye shayad umr aisi thi mohabbat ho gai mujh ko magar is umr mein itni sazaen na-munasib hain tumhaare shahr se jaana muqaddar tha so jhela hai magar is mein raqibon ki duaen na-munasib hain abhi se hijr ki talkhi mein mar jaunga jaan-e-jaan abhi mausam wafa ka hai jafaen na-munasib hain inhi tarikiyon mein zinda rahne ka hunar sikho diye ko mat jalao tum hawaen na-munasib hain ye sher-o-shaeri 'daem' ye ishq-o-ashiqi 'daem' meri mano tumhaari ye adaen na-munasib hain