mujh pe ilzam dhar gaya dekho aankh ashkon se bhar gaya dekho koi raushan zamir tha shayad aur andheron mein mar gaya dekho jis ne rakkha tha sar hatheli par wo bhi duniya se dar gaya dekho dil ko kitna sambhaal rakkha tha us ko dhundo kidhar gaya dekho kis qadar ajnabi sa lagta hai baad muddat ke ghar gaya dekho mujh ko 'daem' yaqin se bichhde ek arsa guzar gaya dekho