mohabbat ibtida mein kuchh nahin malum hoti hai magar phir dushman-e-iman-o-din malum hoti hai wajud-e-zat aks-e-alam-e-hasti se hai sabit teri surat hi surat-afrin malum hoti hai main milna chahta hun tujh se aise tur par ja kar jahan teri tajalli bhi nahin malum hoti hai gae hum dair se kabe magar ye kah ke phir aae ki teri shakl kuchh achchhi wahin malum hoti hai teri barq-e-tajalli ke chalan hum se koi puchhe chamakti hai kahin lekin kahin malum hoti hai tera eajaz-e-qudrat hai ki hasti ki numaish mein zamane-bhar ko shakl apni hasin malum hoti hai dil-e-'muztar' khuda ke waste is se kinara kar mohabbat dushman-e-jaan-e-hazin malum hoti hai