mohabbat ka diya jal kar bujha aise nahin hota to jari zulmaton ka silsila aise nahin hota hue ho jaise tum koi khafa aise nahin hota koi bhi zindagi bhar ko juda aise nahin hota lahu ka rang bharna padta hai lafzon ke khakon mein mukammal qissa-e-ahd-e-wafa aise nahin hota baghair ikhlas ke kyon bahr-e-sajda sar jhukata hai ai zahid bandagi ka haq ada aise nahin hota mizajon mein na jab tak narm goshe kar-farma hon dilon ka fasla dekho fana aise nahin hota na jab tak khun ke chhinte lagae jaen gulshan mein kisi bhi shakh par patta hara aise nahin hota mere sine mein tere lams ki thandak na aa jati main tanhai ki aatish mein jala aise nahin hota bahut daman bacha kar jhadiyon mein chalna padta hai gulon tak jaane ka tai rasta aise nahin hota meri mayyat pe aa kar muskurana bhi zaruri hai mere qatil hisab-e-khun-baha aise nahin hota sar-e-mahfil nazar un ki na ai 'mukhtar' pad jati to meri samt koi dekhta aise nahin hota