aankh se ashk kyon bahen charKH pe jae aah kyon

aankh se ashk kyon bahen charkh pe jae aah kyon
fash kare jo raaz-e-dil wo ho meri nigah kyon

kaisi masal ghalat hai ye dil ko ho dil se rah kyon
tum pe zamana shefta tum ko kisi se chah kyon

jo ho muqayyad-e-ada tera wo qaul kis liye
jis mein jagah ki qaid ho teri wo jalwa-gah kyon

ghair ne bad-guman kiya main ne ghalat kaha baja
mera hi dil sahi magar mera wo khair-khwah kyon

qabil-e-baz-purs hain meri hi sakht-jaaniyan
hae ye maurid-e-itab khanjar-e-be-gunah kyon

sari khudai ke liye jabki wo bazm aam hai
mujh pe hai pasban-e-dard dida-e-intibah kyon

koi alam agar nahin phir ye 'munir' kis liye
aankh mein ashk dil pe hath lab pe ye aah aah kyon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close