mohabbat ka hoga asar rafta rafta nazar se milegi nazar rafta rafta shab-e-gham ki tulaniyon se na ghabra ki is ki bhi hogi sahar rafta rafta nazar un ki aise mili hai ki jaise milaenge dil bhi magar rafta rafta qafas se rihai to mil jae pahle nikal aaenge baal-o-par rafta rafta meri bandagi ka karishma to dekho jabin ban gai sang-e-dar rafta rafta jahan hum kahin naqsh-e-pa chhod aae wahin ban gai rahguzar rafta rafta mere sath jo do qadam bhi chala hai wahi ban gaya ham-safar rafta rafta khuda jaane kyun sar jhukane lage hain mujhe dekh kar chaaragar rafta rafta abhi us ne aane ka wada kiya hai chamakne lage baam-o-dar rafta rafta shab-e-gham ki rudad kya puchhte ho 'sahar' ko mili hai sahar rafta rafta