hum phadak kar todte sari qafas ki tiliyan par nahin ai hum safiro! apne bas ki tiliyan bahr-e-aiwan aur banwa chilman ai parda-nashin ho gai bad-rang hain agle baras ki tiliyan khak mein na jins rahte hain na ahl-e-imtiyaz ai falak banti nahin jarub khas ki tiliyan ain fasl-e-gul mein hi sayyaad-e-be-parwa ne aah das ke par katre to kin aankhon mein das ki tiliyan hirs-e-duniya chahti hai ye ki sim-o-zar ki hon ye charagh-e-khana-e-ahl-e-hawas ki tiliyan imtiyaz-e-nek-o-bad khud ho na jis ko ai 'nasir' us ke nazdik ek hain khashak-o-khas ki tiliyan