mohabbat ka jo ye anjam ho jae to hum jaanen

mohabbat ka jo ye anjam ho jae to hum jaanen
tera jalwa wafa paigham ho jae to hum jaanen

khirad ka silsila aakhir junun se mil ke rahta hai
junun badh kar khirad-anjam ho jae to hum jaanen

ye duniya hai yahan par aadmi to lakh milte hain
jahan mein aadamiyyat aam ho jae to hum jaanen

teri dargah mein maqbul hain jah-o-hasham wale
gharibon ka bhi koi kaam ho jae to hum jaanen

ye hum bhi dekh len patthar mein kaise jonk lagti hai
kisi surat se wo but ram ho jae to hum jaanen

naqab-e-rukh ulat hi di meri gustakh nazron ne
mohabbat ki sahar ab sham ho jae to hum jaanen

qadam kuchh zabt o jurat se uthana shart hai 'alim'
mohabbat phir agar nakaam ho jae to hum jaanen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close