jaane 'azad' wo din phir kabhi aae ki nahin wo hamein itni mohabbat se bulae ki nahin phir main diwana banun wo mera daman thame yaad teri mere yun naz uthae ki nahin phir hawa taza na kar de mere bhule hue gham mujh ko palkon pe teri yaad bithae ki nahin barha gardish-e-dauran mein ulajh kar wo bhi sochta hai ki mujhe dil se bhulae ki nahin yaad kar ishq ke wo daur ki tu ne main ne dil jalae ki nahin khwab lutae ki nahin ab ki itwar bhi 'azad' na viran guzre tez barish hai khuda jaane wo aae ki nahin