mohabbat ka rag-o-pai mein meri ruh-e-rawan hona mubarak har nafas ko ek hayat-e-jawedan hona hamare dil ko aae kis tarah phir shadman hona teri nazron ne sikha hi nahin jab mehrban hona tere kuche mein hona us pe tera aastan hona mubarak tere kuche ki zamin ko aasman hona ye haalat hai ki bedari bhi hai ek khwab ka aalam maaz-allah apna khugar-e-khwab-e-giran hona use khush kar sakengi kya bahaaren zindagani ki chaman mein jis ne dekha ho bahaaron ka khizan hona jo bad-qismat tere gham ki masarrat se hain na-waqif wo kya jaanen kise kahte hain dil ka shadman hona mujhe aankhen dikhaegi bhala kya gardish-e-dauran meri nazron ne dekha hai tera na-mehrban hona jabin o aastan ke darmiyan sajde hon kyun hail jabin ko ho mayassar kash jazb-e-astan hona hawas-karan-e-ishrat aah kya samjhenge ai 'akhtar' bahut dushwar hai zauq-e-alam ka raaz-dan hona