hathon se mere chhin kar dil ka maal le gai jaane kahan kahan mujhe gardish-e-haal le gai kaam na koi aa saka lekin ye aankh ki nami silsila-e-ghubar se mujh ko nikal le gai mauj-e-hawas ke dosh par koh-e-siyah tak gaya mujh ko hawa-e-shauq phir ta-ba-zawal le gai ungliyan tode koi kar le zaban sang ki dekhiye sabqat-e-sharaf saut-e-bilal le gai tez hawa uda chale jis tarah barg-e-zard ko us ki hansi bhi apne sath mera sawal le gai samne bahr-e-be-karan qaidi yak jazira mein phir bhi main us se ja mila mauj-e-khayal le gai