mohabbat ka un se na iqrar karna bas aankhon hi aankhon mein izhaar karna mohabbat agar jurm hai to chalo phir wo ek bar karna ki sau bar karna ajab naghmagi hai samaat se dil tak mukhatab mujhe phir se ek bar karna tadapte tadapte qarar aa gaya hai tamanna na ab koi bedar karna na qurban ho kar dikhaen to kahna nazar pyar ki hum pe sarkar karna 'wafa' hai ye eajaz teri wafa ka kisi bewafa ko wafadar karna