yurish-e-gham se dil-o-jaan ko bachaun kaise

yurish-e-gham se dil-o-jaan ko bachaun kaise
so rahi hai meri taqdir jagaun kaise

aql kuchh kahti hai aur dil ke taqaze hain kuchh aur
aaina mujh se jo kahta hai bataun kaise

ashk to pi liye namus-e-wafa ki khatir
gham jo chehre se jhalakta hai chhupaun kaise

dil hi jab mujh se baghawat pe kamar-basta ho
us ke hathon mein ho aanchal to chhudaun kaise

hai udhar us ki mohabbat to idhar majburi
dil ke aangan ki ye diwar giraun kaise

bazm mein chhedti rahti hain kisi ki nazren
dil machal jae jo aise mein manaun kaise

qahqahon ne hi bharam rakkha hai ab tak mera
ho ke sanjida 'wafa' ashk chhupaun kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close