mohabbat ke jo the aadab sare wo manzar ho gae nayab sare mujhe khush dekh kar hote the jo khush kahan wo kho gae ahbab sare hain kyon naraaz un se abr-e-baran pade hain khet jo be-ab sare sanbhaalega unhen kab tak samundar jo us ke bojh hain girdab sare guzarte hain giran chashm-e-kuhan mein nai tahzib ke aadab sare