ek jhalak pane ka har shakhs tamannai hai dil-nashin khub tera jalwa-e-zebai hai bas yahi soch ke main karta nahin tera gila teri ruswai mein shamil meri ruswai hai jab bhi rota hun akele mein sukun pata hun mera gham bantne wali meri tanhai hai log duniya ki taraf bhag rahe hain lekin un ko malum nahin hai ki wo harjai hai