mohabbat ke rangin mausam na badle

mohabbat ke rangin mausam na badle
zamana to badla magar hum na badle

hasin hai bahut silsila sham-e-gham ka
agar aap ki zulf-e-barham na badle

hai dilkash bahut misl-e-gesu-e-jaanan
khudaya ye kaifiyyat-e-gham na badle

ye shokh aankhen har samt chehron ki jannat
dua kijiye ab ye aalam na badle

mahakti rahengi sitaron ki faslen
agar mausam-e-chashm-e-pur-nam na badle

khirad ne diye kitne paigham lekin
kisi tarah bhi ibn-e-adam na badle

nikharti rahi gardish-e-waqt paiham
hasinon ke gesu-e-pur-kham na badle

ghazal yun hi 'shabbir' kahta rahun main
meri sher-goi ka aalam na badle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close