sukun-e-dil kisi rangin ada ne luT liya

sukun-e-dil kisi rangin ada ne lut liya
sitam hai apne chaman ko khizan ne lut liya

jo zarra tha wo tajalli mein barq-e-aiman tha
nazar padi thi ki us barq-ada ne lut liya

kahan ki tauba-o-taat kahan ki ruswai
mataa-e-zohd ko uth kar ghata ne lut liya

qafas mein bhi na bachi jaan gham-nasibon ki
yahan bhi mauj-e-nasim-o-saba ne lut liya

sitam ke baad to imkan nahin hai shikwe ka
wo kya kare jise teri wafa ne lut liya

tajalliyon ko kahe kaun jab do-alam ko
tere hijab ki dilkash ada ne lut liya

kahun main is ke siwa apna haal kya 'shabbir'
wafa-parast ko ek bewafa ne lut liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close