mohabbat ke safar mein be-ruKHi se choT lagti hai

mohabbat ke safar mein be-rukhi se chot lagti hai
jise hum pyar karte hain usi se chot lagti hai

zarurat se ziyaada guftugu achchhi nahin lagti
zarurat se ziyaada khamushi se chot lagti hai

mujhe be-khwab raaton se koi shikwa nahin phir bhi
andhera dasta hai aur chandni se chot lagti hai

shikasta aur suni khidkiyan aawaze kasti hain
guzarta hun main jab is ki gali se chot lagti hai

tumhaare sath bhi aisa ho to hairan mat hona
kisi se milti hai rahat kisi se chot lagti hai

yahan sab apni fitrat ke sabab pahchane jate hain
shikari zehniyat ko sadgi se chot lagti hai

kabhi hairan rah jata hun zalim ki jasarat par
kabhi 'masum' apni buzdili se chot lagti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close