sabr karta hun to ehsas ziyan bolta hai chup jo rahta hun to phir sara jahan bolta hai khak hone ko hai ab dil ki khabar bhi le lo dil se uthta hua aahon ka dhuan bolta hai sun ke hota hun subuk-sair ki wo shokh kabhi lafz arzan hain to chun chun ke garan bolta hai tere bare mein sab anjaan hue jate hain puchhta hun to koi aa ke kahan bolta hai odh leta hai yaqin maslahatan chup ka lihaf is ghadi sach ki har ek baat guman bolta hai guftugu sunta hun teri hi yahan sham-o-sahar kuchh na kuchh mujh se tera khali makan bolta hai chandni mein jo kabhi aankh-micholi se rachi tu kahan hai tera ek ek nishan bolta hai mil ke masrur hua aaj bahut 'jami' se wo bhi meri hi tarah urdu zaban bolta hai