mohabbat ke safar mein ek aisa bhi maqam aaya sahaare ke liye lab par tumhaare mera nam aaya hawa sakit faza mabhut aur lab band ghunchon ke chaman mein kaun hangam-e-sahar nazuk-khiram aaya panahen dhund lin khurshid ne kohsar ke pichhe jo dekha sham ko ek mah-wash baala-e-baam aaya suna hai mai-kada apna hai ab saqi bhi apna hai magar rindon ke hisse mein na mai aai na jam aaya ye un ki bhul thi ya jazba-e-dil ka karishma tha main hairan hun mera un ki zaban par kaise nam aaya hawa ka ek jhonka ittifaqan chal gaya shayad to diwanon ne samjha mausam-e-gul ka payam aaya